Saturday, June 18, 2011

Topical Poem on father’s Day یومِ پدر: ایک موضوعاتی نظم

Topical Poem on father’s Day یومِ پدر: ایک موضوعاتی نظم

 AHMAD ALI BARQI AZMI
 AAJ HAI YAUM E PEDAR JIS KO MANATE HAIN PESAR
HAIN NAII QADRON KE AB AASAAR HAR SOO JALWA GAR
 HAIN HAMESHA WAJEBUL TAZEEM MADAR AUR PEDAR
FARZ HAI HUM PAR KAREIN TAZEEM UN KI UMR BHAR
 LOG IN MEIN DEKHTE HAIN APNI MALI MANFE'AT
KAR O BAAR E ZINDAGI HAI YAUM E MADAR AUR PEDAR
 YAAD RAHTE HAIN UNHEIN YEH AALAMI MAKHSOOS DIN
ZINDAGI BHAR JO NAHIN RAKHTE KABHI UN KI KHABAR
 JAARI O SAARI RAHE GA YEH MAKAFAAT E AMAL
YAAD RAKHEIn YEH PESAR HONGE KABHI WOH BHI PEDAR
 KARTE HAIN AULAD KI KHOON E JIGAR SE PARWARISH
KYON NAHIN RAKHTI HAI YEH AULAD PHIR UN KI KHABAR
 HAZRAT E YAAQOOB NE KHO DI THI APNI ROSHNI
IS SE YEH SABIT HUA AULAD HAI NOOR E NAZR
MAAN LEIN AHMAD ALI BARQI KA HAI YEH MASHWARA
JAISA JO BOTA HAI MILMARTA HAI USE WAISA SA

No comments: