Saturday, November 30, 2013

NAZRANA-E-AQEEDAT BARAI MUSLIM SALEEM SAHIB - SHAIR: TARIQUE MOHIUDDIN, PATNA, BIHAR, INDIA

 KAARWAN-E-ADAB
PAASBAN-E-ADAB
 DASTAN-E-ADAB
TU NISHAN-E-DAB 
SHAIR-E-NEK NAAM
TUJHKO LAKHON SALAAM
 TERI TAHREER KYA
TERI TAQREER KYA
TERI TAFSEER KYA
TERI TADBEER KYA
 EK KAUSAR KA JAAM
 SHAIR-E-NEK NAAM
 TU NAY RAKKHI HAI LAAJ
 SAR PE URDU KE TAAJ
MUHTARAM TU HAI AAJ
 PESH HAI YE KHIRAAJ 
TERA UNCHA MAQAAM
 SHAIR-E-NEK NAAM
SHAM’A BUJHTI RAHI
URDU LUTATI RAHI
JIS NE AAWAZ DI
WO TERI ZAAT THI
 TU MUJAHID MUDAAM
SHAIR-E-NEK NAAM 
MEER-E-SAANI HAI TU
 ROOD-E-MAANI HAI TU
JAWIDAANI HAI TU
EK KAHANI HAI TU  
TU GHAZAL KA IMAAM
 SHAIR-E-NEK NAAM
  BA AQEEDAT JABEEN, 
YOUN HI JHUKTI NAHEEN.
 HAI YEH DIL KO YAQEEN
AI MERE HUM NASHEEN
 KUCHH HAI RAAZ-E- DAWAAM,
 SHAIR-E- NEK NAAM.

Sunday, November 24, 2013

MUSLIM SALEEM – QATA – NOVEMBER 23, 2013

muslim saleem qata november 23, 2013 UrduMUSLIM SALEEM – QATA – NOVEMBER 23, 2013
KOI AB BAY SABAB MILTA NAHEEN HAI
WO AAYA HAI TO KOI KAAM HOGA!
LABON PAR YAA KOI FARYAD HOGI
NAHEEN TO KUCHH NAYA ILZAAM HOGA

Thursday, November 7, 2013

Article based on Muslim Saleem’s she’r by Zulqarnain Gillani

MUSLIM SALEEM KE SHE’R PAR SUDAIF GILLANI KA MAZMOON

 JANAB ZULQARNAIN (SUDAIF) GILLANI SB KOHNA MASHQ COLUMN NAWEES AUR SHAIR HAIN. AAP NAY MERA EK SHER “BACHCHON KO HONAY DEEJIYE EHSAAS DHOOP KA…….NASHVO NUMAA NA ROKIYE, SAAYA NA KEEJIYE KI BUNIYAD PAR SER HAASIL MAZMOON TAHREER KIYA HAI JO ROZNAMA SUBH-E-WATAN MAIN SHAYA HUA HAI. SUDAIF SB KA SHUKRIYA ADAA KARTE HUE MAZMOON AAP KI KHIDMAT MAIN PESH HAI.
Sudaif Zulqarnain Gillani

GREAT POET DR. AHMAD ALI BARQI AZMI PAYS TRIBUES TO MUSLIM SALEEM’S PARENTS


Ye aks waalidain ke Muslim Saleem Ke
Duniyaa-e-rang-o-boo main hain ek unki yadgaar
Thay waalid unke ek adeeb-e-sukhan shanaas
Muslim Saleem jinke hain farzand-e-honahaar
Umme Habiba waalida unki theen paakbaaz
Farzand jinke aaj jahaan main hain naamdaar
Hain apnay khandaaN ki wiraasat ke wo amen
Wird-e-zabaaN hain aaj sabhi jinke shahkaar
Waalid thay unke Farsi-daani main baa-kamaal
“Khayyam-e-Nau” say jinka tabhhur hai ashkaar
  • Khayyam-e-Nau” ka Muslim Saleem sb ke waalid nay Dr. Saleem Wahid Saleem sb nay Urdu main manzoom tarjuma kiya hai jise Saanjh publications Lahore nay shaya kiya hai.
  •  
ACKNOWLEDGEMENT (picture of Muslim Saleem, Dr. Saleem Wahid Saleem sb  and BegumUmmeHhabiba sahiba has been designed by noted poet and graphic artiste janab Mohd. Aleemullah Khan Waqaar sb.