Sunday, September 29, 2013

Muslim Saleem – ghazal Sept 29, 2013

ghazal ke log
WO DOOR KAY HON DIWAANE, KE HON QAREEB KE LOG

HAIN MADHA-KHWAAN USI PAIKAR-E-AJEEB KE LOG

HAIN KAARZAAR KAI AUR BHI ZAMANAANE MAIN

HILAAL HI SAY ULAJHTAY HAIN KYOON SALEEB KE LOG

SARON KI GINTI NAY AAKHIR KIYA USAY RUSWAA

AMEER-E-SHEHR PAY BHAARI PADAY GHAREEB KE LOG

JAHAAN MAIN DHOOM HAI JINKI YARAF NIGAAHI KI

DIKHAYEE KYOON NAHEEN DETAY UNHEN QAREEB KAY LOG

GUL-E-KHAMOOSH KA DETAA NAHEEN HAI SAATH KOI

HAIN SAARE HAASHIYA-BARDAAR ANDALEEB KE LOG

NAZAR BACHA KAY HAM USDILRUBA SAY MIL AAYE

GALI MAIN GHOOMTAY PHIRTAY RAHE RAQEEB KAY LOG

WATAN SAY AAJ CHALAA HOON YE SOCH KAR MUSLIM

KAHEEN TOMUJH KO MILENGAY MERAY NASEEB KE LOG

Tuesday, September 24, 2013

Naqshband Qamar Bhopali ki manzoom tareekh "Hammasa" par ek taairna nazar: Muslim Saleem

نقشبند قمرؔ نقوی بھوپالی کی مایۂِ ناز تخلیق حمّاسہ جلد اوّل پر ایک طائرانہ نظر۔ مسلمؔ سلیم
تبصرے سے پہلے میں ایک وضاحت کردو کہ نقشبند قمرؔ نقوی بھوپال میں تولد ضرور ہوئے لیکن پاکستان ہجرت کرگئے اور اب ٹلسا، یو۔اس۔اے میں سکونت پذیر ہیں۔ عجیب اتفاق ہے کہ وہ بھوپالی کہلا کر بھی اب بھوپالی نہیں ہیں جبکہ خادم بھوپال میں تولد نہ ہوکر بھی اب بھوپالی ہے۔ ایک اور اتفاق یہ ہے کہ منصب منزل جہاں نقشبند قمرؔ نقوی صاحب تولد ہوئے تھے میرے غریب خانے سے کچھ ہی فاصلے پر ہے اور میں دفتر آتے۔جاتے روز ادھر سے گذرتا ہوں۔ لیکن اس سے یہ عندیہ ہرگز نہیں لیا جائے کہ تبصرہ کا مقصد بھوپالیت یا ذاتی تعلقات سے ہے کیوں کہ میں آج تک نقشبند قمرؔ نقوی بھوپالی سے نہیں ملا ۔ان سے میری انٹرنیٹ ملاقات تب ہوئی جب میں نے ۳؍ برس پہلے کسی رسالے سے ان کی تصویر اور کلام لے کر اپنی ویب ڈائریکٹری ’’اردو پوئٹس انیڈ رائٹرز آف اردو ‘‘ میں شامل کرکے ان کو اس سے مطلع کیا تھا۔تب سے اب تک شاید کچھ ہی ای۔میل کا تبادلہ ہو ا ہوگا کہ اچانک ایک دن ان کی کتاب حماسہ کی پہلی جلد موصول ہوئی۔ میں نے اسکا مطالعہ کیا اور اس نتیجے پر پہنچا کہ اس کتاب سے قارئین کو رو شناس کراؤں۔

Friday, September 20, 2013

Poets' tribute to Muslim Saleem's parents

POETIC TRIBUTES TO MUSLIM SALEEM’S PARENTS BY DR. AHMAD ALI BARQI AZMI (DELHI), ZIA SHAHZAD SHAHZAD (KARACHI) AND NAZAKAT ALI AAZIM (CHICAGO, ILLINOIS) GRAPHICS COURTESY POET MOHD ALEEMULLAH KHAN WAQAAR (SAHARANPUR-INDIA)
************************************
MERA SHER IS TARAH HAI
JIN SAY HAY YE WUJOOD, ZABAAN HAI, KALAAM HAI
UN DO AZEEM ROOHON KO MERA SALAAM HAI
**********************************
Zia Shahzad Shahzad (Karachi)
مسلم سلیم میرا بھی پہنچے انہین سلام

۔ ۔ ۔ بیشک عظیم روحوں کا جنت ہی ہے مقام ۔

Muslim Saleem's tribute to parents

Muslim Saleem's tribute to parents

Sunday, September 15, 2013

MUSLIM SALEEM – POETIC TRIBUTES BY OTHER POETS (UPDATED TILL SEPT 15, 2013

DR. AHMAD ALI BARQI AZMI, NEW DELHI, INDIA
WAQT KIAAWAZ HAIN MUSLIM SALEEM
SHAAIR-E-MUMTAZHAIN MUSLIM SALEEM
JAAN-FAZAHAI UNKA MEYARI KALAAM
SAHIB-E-AIJAZHAIN MUSLIM SALEEM
http://urdunewsblog.wordpress.com/2013/05/31/waqt-ki-aawaz-hain-muslim-saleem-tribute-by-dr-barqi-azmi/

TANVEER PHOOL, NEW YORK, USA
NAGHMA-E-TAHNIYATHAI HAR LAB PAR
BHAI MUSLIMSALEEM DEEDAH-WAR

Muslim Saleem ki ghazal par manzoom tabsire



Owais Jafrey sb., Washington, USA
فکر و فن، لہجہ، معانی، صوت و آہنگ کا کمال
مسلم، اِک شا عر بڑے ہیں اطّلا عاً عرض ہے
***************************************************************

 Ahmad Ali Barqi Azmi, Delhi
Rang e Muslim se numayaaN hai shaoor e fikr o fun
Woh sukhanwar ek bade haiN ittela'an arz hai